When there is a tremendous pain in someone’s heart, sad shayari in hindi these emotions come out in the form of shayari. Read the best collection of this kind of painful poetry here. I hope you like this painful hindi shayari collection. Shayari is a form of poetry, that allows a person to express his deep feelings of heart through words. You will get all the Latest collection of Best Shayari for pain like latest dard bhari shayari, sad shayari in hindi new dard bhari shayari in hindi, sad shayari in hindi, dard e dil shayari, dard love shayari, best dard shayari, dard shayari sms, painful status. So choose your favorite Dard Shayari and share on whatsap and facebook with your Friends, girlfriend, boyfriend, husband wife.sad shayari in hindi
Dard Badha Deta Hai
Khyalon Mein Tera Hi Naam Hontho Par Aa Jaata Hai,
Chalte Hue Mere Paanv Bhi Bahak Jaate Hain,
Ek Tees Si Uthti Hai Dil Mein Mere,
Jab Bhi Tera Diya Hua Dard Yaad Aa Jaata Hai.
ख्यालों में तेरा ही नाम होंठो पर आ जाता है,
चलते हुए मेरे पाँव भी बहक जाते हैं,
एक टीस सी उठती है दिल में मेरे,
जब भी तेरा दिया हुआ दर्द याद आ जाता है।
Jo Aankhon Se Utar Jaya Karte Hain,
Vo Sitare Aksar Toot Jaya Karte Hain,
Kuchh Log Dard Ko Bayan Nahin Hone Dete,
Bas Khamoshi Bikhar Jaya Karte Hain.
जो आँखों से उतर जाया करते हैं,
वो सितारे अक्सर टूट जाया करते हैं,
कुछ लोग दर्द को बयां नहीं होने देते,
बस ख़ामोशी बिखर जाया करते हैं।
Aansu Girne Ki Aahat Nahi Hoti,
Dil Ke Tootne Ki Aawaaj Nahin Hoti,
Gar Hota Unhen Ehsaas Dard Ka,
To Dard Dene Ki Unhen Aadt Nahin Hoti.
आँसू गिरने की आहट नही होती,
दिल के टूटने की आवाज नहीं होती,
गर होता उन्हें एहसास दर्द का,
तो दर्द देने की उन्हें आदत नहीं होती।
Dard Badha Deta Hai, Dard Shayari
Zahar Deta Hai Koi, To Koi Dava Deta Hai,
Jo Bhi Milta Hai Mera Dard Badha Deta Hai.
ज़हर देता है कोई, तो कोई दवा देता है,
जो भी मिलता है मेरा दर्द बढ़ा देता है।
Tumse Nahin Hoga Mere Dard Ka Ilaaz,
Ghaav Ko Naasoor Huye Varshe Gujar Gayi.
तुमसे नहीं होगा मेरे दर्द का इलाज़,
घाव को नासूर हुए वर्षे गुजर गयीं।
Dard Ki Aarzoo Kise Hoti Hai Mere Yaar,
Ye To Ishq Mein… Muft Milta Hai.
दर्द की आरजू किसे होती है मेरे यार,
ये तो इश्क में… मुफ़्त मिलता है।
Aur Bhi Kar Deta Hai Mere Dard Mein Izaafa,
Tere Rahte Huye Gairon Ka Dilaasa Dena.
और भी कर देता है मेरे दर्द में इज़ाफ़ा,
तेरे रहते हुए गैरों का दिलासा देना।
Teri Aukaat Se Jyada Mohabbat Kar Li,
Islie Bardasht Se Jyada Dard Ho Raha Hai.
तेरी औकात से ज्यादा मोहब्बत कर ली
इसलिए बर्दाश्त से ज्यादा दर्द हो रहा है।
Mere Ashqon Ki Keemat Tum Kya De Paoge,
Ishq Na Le Sake To Dard Kya Khareedoge.
मेरे अश्कों की कीमत तुम क्या दे पाओगे,
इश्क न ले सके तो दर्द क्या खरीदोगे।
Dard Shayari, Bhari Mahafil Mein
Bheed Mein Bhi Tanha Rahna Mujhko Sikha Diya
Teri Mohabbat Ne Duniya Ko Jhootha Kahna Sikha Diya,
Kisi Dard Ya Khushi Ka Ehsaas Nahin Hai Ab To,
Sab Kuchh Zindagi Ne Chup-Chaap Sahna Sikha Diya.
भीड़ में भी तन्हा रहना मुझको सिखा दिया,
तेरी मोहब्बत ने दुनिया को झूठा कहना सिखा दिया,
किसी दर्द या ख़ुशी का एहसास नहीं है अब तो,
सब कुछ ज़िन्दगी ने चुप-चाप सहना सिखा दिया।
Aisa Dard Mila Hai Hamen Jisaki Dava Nahin,
Phir Bhi Khush Hoon Us Se Koi Shikava Nahin,
Aur Kitne Aansoo Bahaoon Us Ke Liye,
Rab Ne Jisko Mere Naseeb Mein Likha Hi Nahin.
ऐसा दर्द मिला है हमें जिसकी दवा नहीं;
फिर भी खुश हूँ उस से कोई शिकवा नहीं,
और कितने आंसू बहाऊँ उस के लिए,
रब ने जिसको मेरे नसीब में लिखा ही नहीं।
Na Samajh The Vo Na Itna Doston,
Ki Pyaar Ko Vo Mere Samajh Na Sake,
Pesh Kiya Dard-E-Dil Hamne,
Use Vo Sher Samajh Baithe….
ना समझ थे वो ना इतना दोस्तों,
कि प्यार को वो मेरे समझ ना सके,
पेश किया दर्द-ए-दिल हमने,
उसे वो शेर समझ बैठे…।
Kahin Main Shayar Na Ban Jaaun
Ab Bas Bhi Kar Zalim, Kuchh Toh Raham Kha Mujh Par,
Chali Ja Meri Najar Se Dur Kahin Main Shayar Na Ban Jaaun.
अब बस भी कर ज़ालिम, कुछ तो रहम खा मुझ पर,
चली जा मेरी नज़र से दूर कहीं मैं शायर ना बन जाऊं।
Kis Se Paimane Wafa Baandh Rahi Hai Bulbul,
Kal Na Pehchan Sakegi Gul-e-Tar Ki Surat.
किससे पैमाने वफ़ा बाँध रही है बुलबुल,
कल न पहचान सकेगी गुल-ए-तर की सूरत।
Jab Fursat Mile Chaand Se Mere Dard Ki Kahani Poochh Lena,
Sirf Ek Woh Hi Hai Mera Humraj Tere Jaane Ke Baad.
जब फुरसत मिले चाँद से मेरे दर्द की कहानी पूछ लेना,
सिर्फ एक वो ही है मेरा हमराज तेरे जाने के बाद।
Log Kahte Hain Hum Muskrate Bahut Hain,
Aur Hum Thak Gaye Dard Chhupate Chhupate.
लोग कहते है हम मुस्कुराते बहुत है,
और हम थक गए दर्द छुपाते छुपाते।
Shama Jao Mujh Mein To Pata Lage Ki Dard Kya Hai?
Ye Vo Kissa Hai Jo Jubaan Se Bayaan Nahee Hota.
शमा जाओ मुझ में तो पता लगे कि दर्द क्या है?
ये वो किस्सा है जो जुबान से बयाँ नही होता।
Ham Bure Kaise Ho Gaye Dosto…
Dard Likhte Hain Kisi Ko Dete To Nahi.
हम बुरे कैसे हो गए दोस्तो…
दर्द लिखते हैं किसी को देते तो नही।
Ek Naya Dard
Kya Baat Sikhai Hai Tajurve Ne Hame…
Ek Naya Dard Hi Purane Dard Ki Dawayi Hai.
एक बात सिखाई है… ताजुर्वे ने हमें,
एक नया दर्द ही पुराने दर्द की दवा है।
Bahut Dard Hai Ai Jaan-e-Adaa Tere Ishq Mein,
Kaise Kah Doon Ki Tujhe Wafa Nibhani Nahi Aati.
बहुत दर्द हैं ऐ जान-ए-अदा तेरे इश्क में,
कैसे कह दूँ कि तुझे वफ़ा निभानी नहीं आती।
Tanhai Me Gujar Jayen Ham Par Hazaron Sadme
Aankh Mein Aansu Bhi Aayein Yeh Jaroori To Nahi.
तन्हाई में गुजर जाएँ हम पर हजरों सदमे,
आँख में आँसू भी आयें ये ज़रूरी तो नहीं।
Bura Ye Nahin Laga Ke Tumhein Aziz Koi Aur Hai,
Dard Tab Hua Jab Najar Andaz Kiye Gaye.
बुरा ये नहीं लगा कि तुम्हें अज़ीज़ कोई और है,
दर्द तब हुआ जब हम नजर अंदाज़ किए गए।
Mere Andar Jhank Kar dekho Tukado Me Milunga,
Ye Hasta Hua Chehra To Dikhane Ke Liye Hai.
मेरे अन्दर झाँक कर देखो टुकड़ों में मिलूंगा,
ये हँसता हुआ चेहरा तो दिखाने के लिए है।
Maine Nahi Chaha Hai Tumse Apni Wafaon Ka Sila,
Bas Dard Dete Raha Karo Mujhe Mohabbat Badti Jayegi.
मैंने नहीं चाहा है तुमसे अपनी वफ़ाओं का सिला,
बस दर्द देते रहा करो मुझे मोहब्बत बढ़ती जाएगी।
nice