Mother Shayari in Hindi
दोस्तों आज हमने Ma shayari लिखी है, हमने maपर शायरी लिखकर जीवन में उनके महत्व के बारे में बताने कोशिश की है। हम जब इस दुनिया में आते हैं तो मां की बदौलत ही आते है,
और ना ही हमें सबसे पहली भाषा सिखाती है वह हमें जीवन जीने की राह दिखाती है उसके बिना जीवन नीरस सा हो जाता है Mother Shayari in Hindi मां के बिना इस दुनिया की कल्पना करना भी मुश्किल है।
हमारे जीवन में मां के इतने परोपकार होते है कि अगर हम पूरे जीवन भी उसकी सेवा करें तो भी कम ही पड़ता है.Ma Shayari in Hindi हम छोटी-छोटी बात पर गुस्सा हो सकते है लेकिन मां हमसे कभी गुस्सा नहीं होती।
मां जैसा प्यार करने वाला दुनिया में फिर हमें कभी नहीं मिलता इसलिए जितना जब ने मां के साथ बिता सको उतना समय मां के साथ बिताना चाहिए। हर साल Mother’s Day 10th May को मनाया जाता है।
Maa Teri Yaad Satati Hai
Maa Teri Yaad Satati Hai Mere Paas Aa Jaao,
Thak Gaya Hoon Mujhe Apne Aanchal Mein Sulaao,
Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere,
Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao.
![]() |
Maa Teri Yaad Satati Hai |
माँ तेरी याद सताती है मेरे पास आ जाओ,
थक गया हूँ मुझे अपने आँचल मे सुलाओ,
उंगलियाँ अपनी फेर कर बालो में मेरे,
एक बार फिर से बचपन कि लोरियां सुनाओ।
******
Thokar Na Maar Mujhe Patthar Nahi Hun Main,
Hairat Se Na Dekh Mujhe Manzar Nahi Hun Main.
Teri Nazaron Me Meri Kadar Kuchh Bhi Nahi,
Meri Maa Se Pooch Uske Liye Kya Nahi Hun Main.
![]() |
Maa Teri Yaad Satati Hai |
ठोकर न मार मुझे पत्थर नहीं हूँ मैं,
हैरत से न देख मुझे मंज़र नहीं हूँ मैं,
तेरी नज़रों में मेरी क़दर कुछ भी नहीं,
मेरी माँ से पूछ उसके लिए क्या नहीं हूँ मैं।
******
Din Ki Roshni Khwabon Ko Banane Mein Gujar Gayi,
Raat Ki Neend Bachche Ko Sulane Mein Gujar Gayi,
Jis Makaan Mein Tere Naam Ki Takhti Bhi Nahi Hai,
Saari Umar Uss Makaan Ko Banane Mein Gujar Gayi.
![]() |
Maa Teri Yaad Satati Hai |
दिन की रौशनी ख्वाबो को बनाने मे गुजर गयी,
रात की नींद बच्चे को सुलाने मे गुजर गयी,
जिस मकान मे तेरे नाम की तख्ती भी नहीं है,
सारी उम्र उस मकान को बनाने मे गुजर गयी।
******
Shayari on Maa ki Dua
Kitaabon Se Nikal Kar Titaliyaan Gazalen Sunati Hain,
Tifin Rakhti Hai Meri Maa To Basta Muskuraata Hai.
![]() |
Shayari on Maa ki Dua |
किताबों से निकल कर तितलियाँ ग़ज़लें सुनाती हैं,
टिफ़िन रखती है मेरी माँ तो बस्ता मुस्कुराता है।
Kadam Jab Choomle Manzil To Jazba Muskurata Hai,
Dua Lekar Chalo Maa Ki To Rasta Muskurata Hai.
![]() |
Shayari on Maa ki Dua |
कदम जब चूमले मंज़िल तो जज़्बा मुस्कुराता है,
दुआ लेकर चलो माँ की तो रस्ता मुस्कुराता है।
******
Ek Muddat Se Meri Maa Nahin Soyi…
Maine Ik Baar Kaha Tha Mujhe Dar Lagta Hai.
![]() |
Shayari on Maa ki Dua |
एक मुद्दत से मेरी माँ नहीं सोई…
मैंने इक बार कहा था मुझे डर लगता है।
******
Shayad Yunhi Simat Saken Ghar Ki Zarooratein,
‘Tanaveer’ Maa Ke Haath Mein Apni Kamai De.
![]() |
Shayari on Maa ki Dua |
शायद यूँही सिमट सकें घर की ज़रूरतें,
‘तनवीर’ माँ के हाथ में अपनी कमाई दे।
******
Dua Ko Haath Uthate Huye Larazta Hoon Aarif,
Kabhi Dua Nahin Maangi Thi Maa Ke Hote Hue.
![]() |
Shayari on Maa ki Dua |
दुआ को हाथ उठाते हुए लरज़ता हूँ आरिफ़,
कभी दुआ नहीं माँगी थी माँ के होते हुए।
******
Isaliye Chal Na Saka Koi Bhi Khanjar Mujh Par,
Meri Shah-Rag Pe Meri Maa Ki Dua Rakh Thi.
![]() |
Shayari on Maa ki Dua |
इसलिए चल न सका कोई भी ख़ंजर मुझ पर,
मेरी शह-रग पे मेरी माँ की दुआ रखी थी।
******
Mother Shayari in Hindi
Ai Raat Mujhe Maa Ki Tarah God Mein Le Le Aaj,
Din Bhar Ki Mashaqqat Se Badan Toot Raha Hai.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
ऐ रात मुझे माँ की तरह गोद में ले ले आज,
दिन भर की मशक़्क़त से बदन टूट रहा है।
******
Ye Aisa Karz Hai Jo Main Ada Kar Hi Nahin Sakta,
Main Jab Tak Ghar Na Lautu, Meri Maa Sazde Mein Rahti Hai
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
ये ऐसा क़र्ज़ है जो मैं अदा कर ही नहीं सकता,
मैं जब तक घर न लौटूं, मेरी माँ सज़दे में रहती है।
******
Chalti Firti Aankhon Se Azaan Dekhi Hai,
Maine Jannat To Nahin Dekhi Hai Maa Dekh Hai.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
चलती फिरती आँखों से अज़ाँ देखी है,
मैंने जन्नत तो नहीं देखी है माँ देखी है।
******
Pahle Ye Kaam Bade Pyar Se Maa Karti Thi,
Ab Hamen Dhoop Jagati Hai To Duhkh Hota Hai.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
पहले ये काम बड़े प्यार से माँ करती थी,
अब हमें धूप जगाती है तो दुःख होता है।
******
Mujhe Bas Is Liye Achchhi Bahar Lagti Hai,
Ki Ye Bhi Maa Ki Tarah Khushgawar Lagti Hai.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
मुझे बस इस लिए अच्छी बहार लगती है,
कि ये भी माँ की तरह ख़ुशगवार लगती है।
******
Bheje Gaye Farishte Hamare Bachav Ko,
Jab Hua Hadasaat Maa Ki Dua Se Ulajh Pade.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
भेजे गए फ़रिश्ते हमारे बचाव को,
जब हुआ हादसात माँ की दुआ से उलझ पड़े।
******
Maa ki shayari
Mainne Kal Shab Chaahaton Ki Sab Kitaben Phaad Di,
Sirf Ik Kaagaz Pe Likha Lafz—E—Maa Rahane Diya
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
मैंने कल शब चाहतों की सब किताबें फाड़ दीं,
सिर्फ़ इक काग़ज़ पे लिक्खा लफ़्ज़—ए—माँ रहने दिया।
******
Maa ! Ke Aage Yoon Hi Kabhi Khul Kar Nahin Rona,
Jahan Buniyaad Ho, Itni Nami Achchhi Nahin Hoti.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
माँ ! के आगे यूँ ही कभी खुल कर नहीं रोना,
जहाँ बुनियाद हो, इतनी नमी अच्छी नहीं होती।
******
Mujhe Kadhe Huye Takiye Ki Kya Zaroorat Hai,
Kisi Ka Haath Abhi Mere Sar Ke Neeche Hai.
“Meri Maa”
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
मुझे कढ़े हुए तकिये की क्या ज़रूरत है,
किसी का हाथ अभी मेरे सर के नीचे है।
“मेरी माँ”
******
Bujurgon Ka Mere Dil Se Abhi Tak Dar Nahin Jaata Dosto,
Ki Jab Tak Jaagti Rahti Hai Maa Main Ghar Nahin Jaata.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
बुज़ुर्गों का मेरे दिल से अभी तक डर नहीं जाता दोस्तो,
कि जब तक जागती रहती है माँ मैं घर नहीं जाता।
******
Mere Chehare Pe Mamta Ki Faravani Chamakti Hai,
Main Boodha Ho Raha Hoon Phir Bh Peshaani Chamakt Hai.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
मेरे चेहरे पे ममता की फ़रावानी चमकती है,
मैं बूढ़ा हो रहा हूँ फिर भी पेशानी चमकती है।
******
Aankhon Se Mangne Lage Paani Vazoo Ka Ham,
Kaagaz Pe Jab Bhi Dekh Liya Maa Likha Hua.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
आँखों से माँगने लगे पानी वज़ू का हम,
काग़ज़ पे जब भी देख लिया माँ लिखा हुआ।
******
Mother Shayari in Hindi
Hadason Ki Gard Se… Khud Ko Bachane Ke Liye,
Maa Ham Apne Saath Bas Teri Dua Le Jaayenge.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
हादसों की गर्द से… ख़ुद को बचाने के लिए,
माँ हम अपने साथ बस तेरी दुआ ले जायेंगे।
******
Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aayi,
Main Ghar Mein Sabse Chhota Tha Mere Hisse Mein Maa Aayi.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
किसी को घर मिला हिस्से में या कोई दुकाँ आयी,
मैं घर में सबसे छोटा था मेरे हिस्से में माँ आयी।
******
Ai Andhere! Dekh Le Munh Tera Kaala Ho Gaya,
Maa Ne Aankhen Khol Di Ghar Mein Ujaala Ho Gaya.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
ऐ अँधेरे! देख ले मुँह तेरा काला हो गया,
माँ ने आँखें खोल दीं घर में उजाला हो गया।
******
Is Tarah Mere Gunahon Ko Wo Dho Deti Hai,
Maa Bahut Gusse Mein Hoti Hai To Ro Deti Hai.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
इस तरह मेरे गुनाहों को वो धो देती है,
माँ बहुत ग़ुस्से में होती है तो रो देती है।
******
Meri Khwahish Hai Ki Main Phir Se Farishta Ho Jaoon,
Maa Se Is Tarah Lipat Jaoon Ki Bachcha Ho Jaoon.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
मेरी ख़्वाहिश है कि मैं फिर से फ़रिश्ता हो जाऊँ,
माँ से इस तरह लिपट जाऊँ कि बच्चा हो जाऊँ।
******
Khud Ko Is Bheed Mein Tanha Nahin Hone Denge,
Maa ! Tujhe Ham Abhi Budha Nahin Hone Denge.
![]() |
Mother Shayari in Hindi |
ख़ुद को इस भीड़ में तन्हा नहीं होने देंगे,
माँ ! तुझे हम अभी बूढ़ा नहीं होने देंगे।
******
ये 👇👇👇भी जरूर पढ़े –
Friendship Shayari in Hindi 2021
40+ Best Mahakal Shayari in Hindi
Romantic Shayari For Girlfriend